Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi
Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi
le gaya cheen ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
be-qaraari tujhe ae dil kabhi aisi to na thi
pyar karnay ka koi saleeqa nahi hota!
wafa nibhanay ka koi tareeqa nahi hota!
pyar to woh hai jo ankhon say dil main utray!
ahsas dilay pyar ka koi kisay, aisa nahi hota!
jo raz-e-dil kahna ho kabhi sanam say!
khat hi likha jay, yeh zaruri nahi hota!
Kitni jaldi yeh mulakat guzar jati hai
pyas bujhti nahi ke barsat guzar jati hai
Apni yaadon se keh do ke yun na aaya kare
neend aati nahi aur raat guzar jati hai.

Recommend
votes